Monday 29 October 2012

Faisla ye to karo waqt-e-safr se pehle {ghazal} Adeem Hashmi

Faisla ye to karo waqt-e-safr se pehle,
Aao ge shaam se pehle ke sahr se pehle,
Husn taqseem kiya jaye kidhar se pehle,
Har taraf se ye sadaa aai idhar se pehle,
Tere qadmon ke nishaan hain meri chahat pe faqat,
Koi guzra na tha iss raah'guzar se pehle,
Mujh pe ilzaam-e-wafa theek par ay wajh-e-wafa,
Kis ne dekha tha muhabbat ki nazar se pehle,
Husn maujood to tha apne sarapay men Adeem,
Husn maloom na tha husn-e-nazar se pehle,
Us ki surat bhi to ek subha ki surat hai Adeem,
Dekh li

Faisla ye to karo waqt-e-safr se pehle {ghazal} Adeem Hashmi

No comments:

Post a Comment