Sunday 29 July 2012

Khuawab Adhurey Rehtay Hein

Hum Aksar Sub Say Kehtay Hain,

Kyun Khuawab Adhurey Rehtay Hein;

Kyun Yaad Kisi Ki Aati Hai,

Kyun Dard Jigar Mein Hota Hai;

Kyun Aksar Ankh Ki Chilman Mein,

Ik Jala Sa Ban Jata Hai;

Kyun QADAM Larkharatay Hein,

Hum Jab Bhi Chalnay Lagtay Hein;

Kyun Palkein Num Ho Jati Hein,

Hum Jab Bhi Hansnay Lagty Hain,Aksar Raat Ki Tareeki,

Yaadon Kay Zahar Ugalti Hay;

Kyun Hijr Ka Mousam Aata Hai,

Jab Wisl Ki Baatein Hoti Hein;

Kyun Log Deewaney Hotey Hein,

Kyun

Khuawab Adhurey Rehtay Hein

No comments:

Post a Comment